اردو हिंदी
Jab koi leta hai mere samne nam-e-ghazal | Shaahi Shayari
jab koi leta hai mere samne nam-e-ghazal

Ghazal

Jab koi leta hai mere samne nam-e-ghazal

Amjad Najmi

;

jab koi leta hai mere samne nam-e-ghazal
yaad aata hai mujhe ek nazuk-andam-e-ghazal

us harim-e-naz us KHalwat-sara-e-raaz mein
barha jazbaat ne bandha hai ehram-e-ghazal

ek rashk-e-mah ka main kar raha hun tazkira
aasman se kyun na ho uncha mera baam-e-ghazal

mai-kada bhi gunj uTTha shor-e-nosha-nosh se
kis qadar hai kaif-awar ye mera jam-e-ghazal

nau-ba-nau taza-ba-taza jalwa-e-shadab-e-husn
kar sake kis tarah aaKHir koi itmam-e-ghazal

aks-e-zan ho jis ke dil mein partaw-e-rangin-e-yar
kaun kah sakta hai 'najmi' us ko nakaam-e-ghazal

dekhte hain gosha-e-chashm-e-haya se wo mujhe
mil raha hai aaj 'najmi' mujh ko inam-e-ghazal