اردو हिंदी
Jab koi kali sehn-e-gulistan mein khili hai | Shaahi Shayari
jab koi kali sehn-e-gulistan mein khili hai

Ghazal

Jab koi kali sehn-e-gulistan mein khili hai

Habib Jalib

;

jab koi kali sehn-e-gulistan mein khili hai
shabnam meri aankhon mein wahin tair gai hai

jis ki sar-e-aflak baDi dhum machi hai
aashufta-sari hai meri aashufta-sari hai

apni to ujalon ko tarasti hain nigahen
suraj kahan nikla hai kahan subh hui hai

bichhDi hui rahon se jo guzre hain kabhi hum
har gam pe khoi hui ek yaad mili hai

ek umr sunaen to hikayat na ho puri
do rose mein hum par jo yahan bit gai hai

hansne pe na majbur karo log hansenge
haalat ki tafsir to chehre pe likhi hai

mil jaen kahin wo bhi to un ko bhi sunaen
'jalib' ye ghazal jin ke liye hum ne kahi hai