jab koi gham hi na ho ashk bahaun kaise
KHud ko duniya ki adakari sikhaun kaise
teri har ek jhalak aur baDhati hai talab
aise mein pyas nigahon ki bujhaun kaise
KHud-baKHud aankhon ke paimane chhalak paDte hain
shiddat-e-gham ko chhupaun to chhupaun kaise
chand-taron se zara bhi tujhe taskin nahin
zindagi ab main teri mang sajaun kaise
jis ko aane ki tasawwur mein bhi fursat na mile
haal-e-dil us ko sunaun to sunaun kaise
bach ke duniya ki nigahon se KHata kar to lun
apni nazron se magar KHud ko giraun kaise
aag ho to use pani se bujha bhi lun 'jigar'
ye lagi dil ki hai main us ko bujhaun kaise
Ghazal
Jab koi gham hi na ho ashk bahaun kaise
Jigar Jalandhari