jab kisi ne aan kar dil se mere purKHash ki
baat tab aashiq-gari ki main jahan mein fash ki
kya kahun jis ne kiya is husn ko aarasta
chum lije ungliyan yaro usi naqqash ki
ai musawwir jo hua manqush tere hath se
wo kahan taswir ban sakti kisi se qash ki
kal tere kuche mein main ja kar ke sar apna paTak
ro paDa tujh ko nahin paya bahut talash ki
yaro saqi aur sharab-o-sabza maujud aaj hai
'afridi' hai kabab-e-dil pe ja shabash ki
Ghazal
Jab kisi ne aan kar dil se mere purKHash ki
Qasim Ali Khan Afridi

