jab ki sar par wabaal aata hai
pech mein baal baal aata hai
kab payam-e-visal aata hai
KHwab hai jo KHayal aata hai
tegh-e-irfan se ruh bismil hai
haal par apne haal aata hai
shal hai har chand panja-e-mizgan
par kaleja nikal aata hai
kya ajab ishq ho jo piri mein
dudh mein bhi ubaal aata hai
KHub chalti hai naw kaghaz ki
ghar mein qazi ke mal aata hai
Dher hai dil mein ab kudurat ka
miTTi lene kalal aata hai
chal nikalti hai kashti-e-amal
araq-e-infial aata hai
hijr ke din yun hi guzarte hain
mah jate hain sal aata hai
tere aankhon ke samne sayyaad
zabh hone ghazal aata hai
jis ne us ki gali mein phal paya
kha ke patthar nihaal aata hai
sar kaTa kar shahid hote hain
umr kho kar kamal aata hai
na milega siwa muqaddar se
jehl hai ja malal aata hai
bahr-e-zar gul hai palla-e-mizan
til ke kanTe pe mal aata hai
'bahr' ki sun ke aarifana ghazal
shah-e-dariya ko haal aata hai
Ghazal
Jab ki sar par wabaal aata hai
Imdad Ali Bahr