jab ki sari kaenat us ki nigahbani mein hai
dil azal hi se na jaane kaisi hairani mein hai
meri fitrat bhi to shamil meri nadani mein hai
laghzish-e-adam jo pinhan KHun-e-insani mein hai
jaane kis hangam mein Dali gai buniyaad-e-dil
dil jo ab tak mubtala ranj-o-pareshani mein hai
dur kar deta hai bas ek pal mein sab shikwe-gile
ye karishma bhi kisi ki aankh ke pani mein hai
kya samajh paenge ye ahl-e-KHirad is raaz ko
lutf danai mein kab wo hai jo nadani mein hai
dil mein aata hai hisar-e-har-talab ko toD dun
aisi KHwahish bhi tamannaon ki tughyani mein hai
ho gai aadam se ye kaisi KHata jis ke ewaz
nasl-e-adam aaj tak aisi pashemani mein hai
koi surat jab na ban pai to rona aa gaya
kuchh to taskin-e-gham-e-dil ashk-afshani mein hai
gar mile KHud mein samo len sare insanon ka dard
is qadar wusat hamari tang-damani mein hai
Ghazal
Jab ki sari kaenat uski nigahbani mein hai
Rohit Soni u0027Tabishu0027