jab ki manus tha aalam ke girdab se bhi
mil gaya zahr-e-tamasKHur kai ahbab se bhi
mere riste hue zaKHmon ka mudawa na hua
ye shikayat hai tere shahr ke aadab se bhi
ab unhen aankh ki putli mein chhupana hoga
dagh jo dhul na sake chashma-e-mahtab se bhi
koi to zaKHm mera saz-e-takallum chheDe
koi to baat chale dida-e-pur-ab se bhi
chashm-e-be-KHwab ke KHwabon ki jo tabir bana
wahi dikhla gaya aankhon ko kai KHwab se bhi
mera kya zikr hai gulshan bhi hai maghmum 'KHayal'
ho gae aap KHafa gosha-e-shadab se bhi

Ghazal
Jab ki manus tha aalam ke girdab se bhi
Mustahsin Khayal