jab ki be-parda tu hua hoga
mah parde se tak raha hoga
kuchh hai surKHi si aaj palkon par
qatra-e-KHun koi baha hoga
mere name se KHun Tapakta tha
dekh kar us ne kya kaha hoga
ghurta hai mujhe wo dil ki mere
meri nazron se pa gaya hoga
yahi rahta hai ab to dhyan mujhe
wan se qasid mera chala hoga
jis ghaDi tujh ko kunj-e-KHalwat mein
pa ke tanha wo aa gaya hoga
'mushafi' us ghaDi main hairan hun
tujh se kyunkar raha gaya hoga
Ghazal
Jab ki be-parda tu hua hoga
Mushafi Ghulam Hamdani

