jab KHuda ko jahan basana tha 
tujh ko aisa nahin banana tha 
mere ghar tera aana jaana tha 
wo bhi ai yar kya zamana tha 
phir gae aap mere kuche se 
do qadam par gharib-KHana tha 
jo na samjhe ki aashiqi kya hai 
us se be-kar dil lagana tha 
aae the baKHt aazmane hum 
aap ko tegh aazmana tha 
ai sitamgar qabr-e-ashiq par 
chand aansu tujhe bahana tha 
tu ne rahne diya pas-e-diwar 
warna apna kahan Thikana tha 
ab jahan par hai shaiKH ki masjid 
pahle us ja sharab-KHana tha 
daKHl ahl-e-riya na rakhte the 
pak-bazon ka aana jaana tha 
bazm mein ghair ko na bulwate 
aap ko jab hamein bulana tha 
wo chaman ab KHizan-rasida hai 
bulbulon ka jahan tarana tha 
sunte hain wo shajar bhi sukh gaya 
jis pe sayyaad aashiyana tha 
dil na dete use to kya karte 
ai 'asar' dukh hamein uThana tha
 
        Ghazal
Jab KHuda ko jahan basana tha
Imdad Imam Asar

