jab KHud mein kuchh mila na KHad-o-KHal ki tarah
kuchh aaine mein DhunDh liya baal ki tarah
soi hui hai subh ki talwar jab talak
ye shab hai jugnuon ke liye Dhaal ki tarah
kuchh raushni ke dagh ujale ka ek zaKHm
kuchh to hai shab ke dil mein zar-o-mal ki tarah
tahrir kar rahi hai meri past tishnagi
jhilon ko paniyon ke bichhe jal ki tarah
nagin hai koi bel shajar ba-KHabar nahin
kenchul chaDhi ho tan pe agar chhaal ki tarah
phir bhi tamam dagh chhupae na chhup sake
go chandni badan pe rahi shaal ki tarah
bas aaine se ek mulaqat ke sabab
lamhat ho gae hain mah-o-sal ki tarah
tum jhuk gae 'mayank' zamane ke samne
phulon se aur phalon se ladi Dal ki tarah
Ghazal
Jab KHud mein kuchh mila na KHad-o-Khaal ki tarah
Mayank Awasthi