اردو हिंदी
Jab KHizan aai chaman mein sab dagha dene lage | Shaahi Shayari
jab KHizan aai chaman mein sab dagha dene lage

Ghazal

Jab KHizan aai chaman mein sab dagha dene lage

Boom Merathi

;

jab KHizan aai chaman mein sab dagha dene lage
tinke uDa uD kar nasheman ka pata dene lage

jab meri gustaKHiyon ki wo saza dene lage
wasl ki shab lat-ghunsa bhi maza dene lage

manjh kar wo danton ko jab muskura dene lage
chhoTi moTi sainkaDon bijli gira dene lage

qatl karne ke bajae ye saza dene lage
khod kar gaDDha mujhe zinda daba dene lage

be-tahasha qabr par kisle baja dene lage
meri miTTi ko Thikane se laga dene lage

un ke ek thappaD se jab main dam chura kar paD gaya
aise ghabrae ki daman se hawa dene lage

aap to manga karen the mere marne ki dua
ab laga marne to jine ki dua dene lage

kaisa aashiq aap to mujh ko samajhte hain quli
har jagah hathon mein mere bistara dene lage

ho gaya majbur main bhi aur dil-e-nakaam bhi
wasl ki shab jab KHuda ka wasta dene lage

kam nahin hai torpedo se tere tir-e-nazar
chhed kar dil aag sine mein laga dene lage

mahramon se aap ke joban ka uqda khul gaya
aap ki uThti jawani ka pata dene lage

'bum' hona chahiye bazm-e-suKHan mein wo kalam
dost kya dushman sada-e-marhaba dene lage