jab KHema-zano! zor hawaon ka ghaTega
KHun meri hatheli ka tanabon pe malega
ho pyas to KHud apne hi honTon ka lahu chus
sukhi hui jhilon mein tujhe kuchh na milega
jalte hue raston ke liye dekh liya kar
khiDki na khulegi to dhuan aur ghuTega
basti mein gharibon ki jahan aag lagi thi
sunte hain wahan ek naya shahr basega
peDon ki agar nasl-kushi KHatm nahin ki
kuchh din mein yahan peDon ka saya bhi bikega
bas aag ubal sakti hain ye murda zaminen
bekar si koshish hai yahan kuchh na ugega
wo murda-dili sham se pahle ki ada thi
is waqt to 'kaifi' kisi maqtal mein milega
Ghazal
Jab KHema-zano! zor hawaon ka ghaTega
Kaifi Wijdani