jab KHabar hi na koi mausam-e-gul ki aai
kaghzi phul pe kuchh soch ke titli aai
sabz patton ne bhi shaKHon se baghawat kar di
aaj is shahr mein kis zor ki aandhi aai
ab ye basti hui diwaron ki kasrat ka shikar
ab yahan rahne mein be-tarah KHarabi aai
qahqaha shab ne lagaya hai baDe tanz ke sath
subh jab apni rihai pe bhi roti aai
aankh ek abr ke TukDe ko taras jati thi
barishon se jahan ab itni tabahi aai
raat-bhar subh ki ummid pe zinda tha mariz
subh hote hi use aaKHiri hichki aai
mar gaya habs ki basti mein junhi koi 'nasim'
nauha-KHwani ko wahan taza hawa bhi aai
Ghazal
Jab KHabar hi na koi mausam-e-gul ki aai
Naseem Sahar