jab ke ruswa hue inkar hai sach baat mein kya
ai sanam lutf hai parde ki mulaqat mein kya
koi andha hi tujhe mah kahe ai KHurshid
farq hota nahin insan se din raat mein kya
yar ne wada-e-farda-e-qayamat to kiya
shak hai ai nala-e-dil teri karamat mein kya
koi but-KHane ko jata hai koi kaba ko
phir rahe gabr-o-musalman hain teri ghat mein kya
ek muddat se hun sail tere darwaze par
bosa ya gali milega mujhe KHairaat mein kya
aisi unchi bhi to diwar nahin ghar ki tere
raat andheri koi aawegi na barsat mein kya
do ghaDi ki jo mulaqat thi wo bhi mauquf
aisa paDta tha KHalal yar ki auqat mein kya
paDh ke KHat aur bhi mayus hue wasl se hum
yar ne bheja safar se hamein saughat mein kya
aatish-e-mast jo mil jae to puchhun us se
tu ne kaifiyyat uThai hai KHarabaat mein kya
Ghazal
Jab ke ruswa hue inkar hai sach baat mein kya
Haidar Ali Aatish