jab kaho kyun ho KHafa kya bais
kahte hain puchhne ka kya bais
bholi surat ki hai KHubi warna
ho adu dost-numa kya bais
main ne ki aah to bole nagah
ho gae garm hua kya bais
aata hai dekh ke anjum ko KHayal
hai falak aabla-pa kiya bais
wada karne ki zarurat kya thi
phir na aane ka bhala kya bais
gar na thi hijr mein ummid-e-visal
jite rahne ka hua kya bais
dam nikalta hai mera ruk ruk kar
kunad hai tegh-e-qaza kya bais
chashma-e-KHizr mein mai hi be-shak
aab ho umr-faza kya bais
tum karo tark-e-jafa kya imkan
hum karen tark-e-wafa kiya bais
nala karta nahin 'nazim' tasir
tir hota hai KHata kya bais

Ghazal
Jab kaho kyun ho KHafa kya bais
Syed Yusuf Ali Khan Nazim