jab kaha tir teri aankh ne akasr mara
chitwanen pher ke bole ki barabar mara
qadr kuchh bhi mere dil ki but-e-kafir ne na ki
zulf-e-pechan se jo uljha to mere sar mara
jaan be-maut KHuda bhi nahin leta lekin
tu ne be-maut hi logon ko sitamgar mara
chand zarre meri miTTi ke faqat hath aae
dasht-e-ghurbat ke bagulon ne jo chakkar mara
ek musalman ka dil toD diya kya kahna
apne nazdik baDa aap ne kafar mara
'muztar' aisa koi ab tak na ho aur na ho
maut ne hae abas dagh-e-suKHnawar mara
Ghazal
Jab kaha tir teri aankh ne akasr mara
Muztar Khairabadi