jab kaha main ne ki mar mar ke bache hijr mein hum
hans ke bole tumhein jina tha to mar kyun na gae
hum to allah ke ghar ja ke bahut pachhtae
jaan deni thi to kafir tere ghar kyun na gae
su-e-dozaKH but-e-kafir ko jo jate dekha
hum ne jannat se kaha hae udhar kyun na gae
pahle us soch mein marte the ki jite kyun hain
ab hum is fikr mein jite hain ki mar kyun na gae
zahido kya su-e-mashriq nahin allah ka ghar
kabe jaana tha to tum log udhar kyun na gae
tu ne aankhen to mujhe dekh ke nichi kar lin
mere dushman teri nazron se utar kyun na gae
sun ke bole wo mera haal-e-judai 'muztar'
jab ye haalat thi to phir ji se guzar kyun na gae
Ghazal
Jab kaha maine ki mar mar ke bache hijr mein hum
Muztar Khairabadi