jab kaha main hun tere ishq mein badnam ki tu
hans ke kis naz se bola but-e-KHud-kaam ki tu
kaun si rah chalun kufr mohabbat sach kah
kaam aaega wahan mazhab-e-islam ki tu
dhoke de de ki mera waqt kaTa hai ki tera
wade kar kar ke main soya hun sar-e-sham ki tu
parda uThne se mera raaz khula hai ki tera
ghar se nikla hai tere sath mera nam ki tu
kuchh to kah ai dil-e-betab irade kya hain
nama-bar jaega le kar mera paigham ki tu
KHatma hijr ki shab kaun karega mera
hasrat-e-wasl ka bigDa hua anjam ki tu
saat-e-aish-e-do-roza teri hajat kya hai
gham-e-jawed nikalega mera kaam ki tu
kaun pita hai mohabbat ka piyala pi le
muddai lega mere hath se ek jam ki tu
main ne socha ki nigahen unhen DhunDen ki KHayal
na-gahan bol uThi gardish-e-ayyam ki tu
tujh ko kyun ranjish-e-beja hai adu ka khaTka
main uThaunga mohabbat mein ye ilzam ki tu
Ghazal
Jab kaha main hun tere ishq mein badnam ki tu
Muztar Khairabadi