jab kabhi yaadon ka darwaza khula aaKHir-e-shab
koi dar aaya ba-andaz-e-hawa aaKHir-e-shab
hum pasheman idhar aur udhar wo nadim
sham ka bhula hua aa hi gaya aaKHir-e-shab
dil ke aangan mein ba-sad naz tha wo mahw-e-KHiram
phul hi phul tha naqsh-e-kaf-e-pa aaKHir-e-shab
kar saka pesh na uryani ka jab koi jawaz
aa gaya oDh ke mariyam ki rida aaKHir-e-shab
sanwli sham ki zulfon ke parastar tamam
ho gae aap hi masruf-e-dua aaKHir-e-shab
nind aa hi gai wamanda the aasab tamam
ThanDi ThanDi jo chali mauj-e-saba aaKHir-e-shab
wo kasak murgh-e-sahar ki thi nawa mein 'raunaq'
dil pe ek nashtar-e-ehsas laga aaKHir-e-shab

Ghazal
Jab kabhi yaadon ka darwaza khula aaKHir-e-shab
Raunaq Deccani