اردو हिंदी
Jab kabhi shor-e-jahan hota hai | Shaahi Shayari
jab kabhi shor-e-jahan hota hai

Ghazal

Jab kabhi shor-e-jahan hota hai

Jamal Owaisi

;

jab kabhi shor-e-jahan hota hai
mere hone ka guman hota hai

jabr hai mujh pe nizam-e-fitrat
mujh pe har lamha giran hota hai

subah hoti nahin pahle jaisi
shab-giraftar saman hota hai

dhund mein khote hain manzar sare
pech dar pech dhuan hota hai

sham ta-subh charaghan kar ke
dasht mein nauha-e-jaan hota hai

waqt phailata hai daman apna
aag ka dariya rawan hota hai

mujh ko aazad kar ai danish-e-nau
dil giraftar-e-butan hota hai