jab kabhi phulon ne KHushbu ki tijarat ki hai
patti patti ne hawaon se shikayat ki hai
yun laga jaise koi itr faza mein ghul jae
jab kisi bachche ne quran ki tilawat ki hai
ja-namazon ki tarah nur mein ujlai sahar
raat bhar jaise farishton ne ibaadat ki hai
sar uThae thin bahut surKH hawa mein phir bhi
hum ne palkon ke charaghon ki hifazat ki hai
mujhe tufan-e-hawadis se Darane walo
hadson ne to mere hath pe baiat ki hai
aaj ek dana-e-gandum ke bhi haqdar nahin
hum ne sadiyon inhin kheton pe hukumat ki hai
ye zaruri tha ki hum dekhte qilon ke jalal
umr bhar hum ne mazaron ki ziyarat ki hai

Ghazal
Jab kabhi phulon ne KHushbu ki tijarat ki hai
Rahat Indori