jab kabhi hum tere kuche se guzar jate hain
lauh-e-idrak pe kuchh aur ubhar jate hain
husn se lijiye tanzim-e-do-alam ka sabaq
subh hoti hai to gesu bhi sanwar jate hain
hum ne paya hai mohabbat ka KHumar-e-abadi
kaise hote hain wo nashshe ki utar jate hain
itne KHaif hain mai-o-mah se janab-e-waiz
nam-e-kausar bhi jo sunte hain to Dar jate hain
mai-kada band muqaffal hain dar-e-dair-o-haram
dekhna hai ki 'shakil' aaj kidhar jate hain
Ghazal
Jab kabhi hum tere kuche se guzar jate hain
Shakeel Badayuni