jab juda peDon se kaT kar Dali Dali ho gai
ek tere jangal ki majid god KHali ho gai
koi mausam ho ba-har-surat hawa chalti rahi
baDh gaya itna dhuan har shakl kali ho gai
mere chehre par likhi thin surKHiyan aKHbar ki
jo bhi surat samne aai sawali ho gai
hain wahi alfaz lekin wo maani hi nahin
baat sulh-o-ashti ki aaj gali ho gai
teri taswiron pe bhi apna nahin hai iKHtiyar
fasla itna baDha surat KHayali ho gai
KHun ka KHatt-e-istawa 'majid' tassub mein ghira
pyar ki baad-e-saba baad-e-shumali ho gai

Ghazal
Jab juda peDon se kaT kar Dali Dali ho gai
Majid-ul-Baqri