اردو हिंदी
Jab jhuT rawiyon ke qalam bolne lage | Shaahi Shayari
jab jhuT rawiyon ke qalam bolne lage

Ghazal

Jab jhuT rawiyon ke qalam bolne lage

Husain Taj Rizvi

;

jab jhuT rawiyon ke qalam bolne lage
har KHud-sari ko jah-o-hasham bolne lage

ek izn-e-lab-kushai ne bebak kar diya
dekho kis e'timad se hum bolne lage

koi kisi se puchh raha tha tera suragh
uTh uTh ke mere naqsh-e-qadam bolne lage

samjhe the aastin chhupa legi sab gunah
lekin ghazab hua ki sanam bolne lage

haq-goi ke mahaz pe manzar badal gaya
KHamosh sab arab hain ajam bolne lage

tambih ki thi dil ki dahan bhi siye magar
main kya karun ki dida-e-nam bolne lage

mahaul bad-guman tha tang aa ke 'taj' bhi
KHamosh hone wale the kam bolne lage