jab jab main zindagi ki pareshaniyon mein tha
apnon ke bawajud bhi tanhaiyon mein tha
aabaadiyon ne sare bharam hi miTa diye
is se ziyaada KHush to main viraniyon mein tha
sahil pe jo khaDe the unhen mauj le gai
main bach gaya ki yar main tughyaniyon mein tha
aasaniyon mein zist hi be-kaif ho gai
jine ka asl lutf to dushwariyon mein tha
karta bhi kya kisi se shifa ki koi umid
sara ka sara shahr hi bimariyon mein tha
jo sada-lauh the wo nashebon mein rah gae
chaalak jo bhi shaKHs tha unchaiyon mein tha
kuchh aap hi ne ghaur se Dali nahin nazar
mera bhi nam aap ke shaidaiyon mein tha
baaten to sath par yun bahut si huin magar
mera dimagh jhil ki gahraiyon mein tha
'nayab' bhai ban ke gale jo mila tha kal
us shaKHs ka shumar bhi dangaiyon mein tha
Ghazal
Jab jab main zindagi ki pareshaniyon mein tha
Nitin Nayab