اردو हिंदी
Jab jab isko socha hai | Shaahi Shayari
jab jab isko socha hai

Ghazal

Jab jab isko socha hai

Noman Farooq

;

jab jab is ko socha hai
dil andar se mahka hai

sahra par mauquf nahin
dariya bhi to pyasa hai

tere rup ka saya to
sidha dil par paDta hai

sab se us ki baaten karna
kitna achchha lagta hai

choT lage ek umr hui
zaKHm abhi tak rista hai

sham ki banhon mein 'noman'
kis ko sochta rahta hai