jab husn-e-be-misal par itna ghurur tha
aaina dekhna tumhein phir kya zarur tha
chhup-chhup ke ghair tak tumhein jaana zarur tha
tha pichhe pichhe main bhi magar dur dur tha
mulk-e-adam ki rah thi mushkil se tai hui
manzil tak aate aate badan chur-chur tha
do ghunT bhi na pi sake aur aankh khul gai
phir bazm-e-aish thi na wo jam-e-surur tha
waiz ki aankhen khul gain pite hi saqiya
ye jam-e-mai tha ya koi dariya-e-nur tha
kyun baiThe hath malte ho ab 'yas' kya hua
is bewafa shabab par itna ghurur tha
Ghazal
Jab husn-e-be-misal par itna ghurur tha
Yagana Changezi