jab hijr ke shahr mein dhup utri main jag paDa to KHwab hua
meri soch KHizan ki shaKH bani tera chehra aur gulab hua
barfili rut ki tez hawa kyun jhil mein kankar phenk gai
ek aankh ki nind haram hui ek chand ka aks KHarab hua
tere hijr mein zehn pighalta tha tere qurb mein aankhen jalti hain
tujhe khona ek qayamat tha tera milna aur azab hua
bhare shahr mein ek hi chehra tha jise aaj bhi galiyan DhunDti hain
kisi subh usi ki dhup khili kisi raat wahi mahtab hua
baDi umr ke baad in aankhon mein koi abr utra teri yaadon ka
mere dil ki zamin aabaad hui mere gham ka nagar shadab hua
kabhi wasl mein 'mohsin' dil TuTa kabhi hijr ki rut ne laj rakhi
kisi jism mein aankhen kho baiThe koi chehra khuli kitab hua
Ghazal
Jab hijr ke shahr mein dhup utri main jag paDa to KHwab hua
Mohsin Naqvi