jab hawa shab ko badalti hui pahlu aai
muddaton apne badan se teri KHushbu aai
mere naghmat ki taqdir na pahunche tujh tak
meri fariyaad ki qismat ki tujhe chhu aai
apni aankhon se lagati hain zamane ke qadam
shahar ki rah-guzaron mein meri KHu aai
han namazon ka asar dekh liya pichhli raat
main idhar ghar se gaya tha ki udhar tu aai
muzhda ai dil kisi pahlu to qarar aa hi gaya
manzil-e-dar kaTi saat-e-gesu aai

Ghazal
Jab hawa shab ko badalti hui pahlu aai
Mustafa Zaidi