اردو हिंदी
Jab har nazar ho KHud hi tajalli-numa-e-gham | Shaahi Shayari
jab har nazar ho KHud hi tajalli-numa-e-gham

Ghazal

Jab har nazar ho KHud hi tajalli-numa-e-gham

Farhat Qadri

;

jab har nazar ho KHud hi tajalli-numa-e-gham
phir aadmi chhupae to kaise chhupae gham

us waqt tak mili na mujhe lazzat-e-hayat
jab tak raha zamane mein na-ashna-e-gham

meri nigah-e-shauq hi gham ka sabab nahin
un ki nigah-e-naz bhi hai rahnuma-e-gham

sauda-e-ishq dard-e-mohabbat jafa-e-dost
hum ne KHushi ke waste kya kya uThae gham

shayad ye hai karishma fareb-e-nashat ka
ghabra ke aa gai hai labon par dua-e-gham

'farhat' ki har hansi mein hain aansu chhupe hue
us ki KHushi bhi oDhe hue hai rida-e-gham