اردو हिंदी
Jab ham-baghal wo sarw qaba posh ho gaya | Shaahi Shayari
jab ham-baghal wo sarw qaba posh ho gaya

Ghazal

Jab ham-baghal wo sarw qaba posh ho gaya

Muneer Shikohabadi

;

jab ham-baghal wo sarw qaba posh ho gaya
qumri ka tauq halqa-e-aghosh ho gaya

ashaar mere sun ke wo KHamosh ho gaya
ghuncha ba-rang-e-gul hama-tan-gosh ho gaya

pi ghair ne sharab mujhe be-KHudi hui
nashsha chaDha kisi ko main behosh ho gaya

is darja be-KHudi ne dikhain talliyan
gardun ghubar-e-qafila-e-hosh ho gaya

tegh-e-ajal ki kaT se Darta nahin hun main
zaKHmon se jism-e-zar zira-posh ho gaya

ai but KHayal-e-wasf-e-dahan mein na pai rah
bhaTka phira suKHan jo main KHamosh ho gaya

KHun-KHwaron ke huzur na aaya hamari tarah
aaina jauharon se zira-posh ho gaya

talea jagae aap ne arbab-e-ishq ke
yusuf ka husn KHwab-e-faramosh ho gaya

pinhan hai zer-e-sabza-e-KHat aatish-e-ezar
shoala fusun-e-husn se KHas-posh ho gaya

huren gale lipaTti hain aa aa ke raat din
jannat ki rah kucha-e-aghosh ho gaya

us mast-e-husn ki nigah-e-garm ke huzur
aaina-e-jam baada-e-sar-josh ho gaya

be-lutfiyon se tum jo mile main ne jaan di
phansi gale mein halqa-e-aghosh ho gaya

abr-e-siyah ke saye ne surma khila diya
sabza tamam tuti-e-KHamosh ho gaya

kandhon se mere katib-e-amal gir paDe
taDpa main is qadar ki subuk-dosh ho gaya

kanon ka husn jalwa-e-ariz se paD gaya
ruKH aaftab-e-subh buna-gosh ho gaya

uDta hun ishq mein lab lalin ke ai 'munir'
goya sharar aatish-e-KHamosh ho gaya