jab dil ki KHalish baDh jati hai majbur jab insan hota hai
jina jise mushkil ho jae marna use aasan hota hai
aai thi jawani hum par bhi hum ne bhi bahaaren dekhi hain
is daur se hum bhi guzre hain ek KHwab-e-pareshan hota hai
be-kar hai shikwa apnon ka be-sud shikayat ghairon ki
jab waqt bura aa jata hai saya bhi gurezan hota hai
main un ke sitam sab bhul gaya mujh ko to karam yaad aate hain
wo sar bhi uTha sakta hai kabhi jo banda-e-ehsan hota hai
har-waqt ulajhte rahte hain ye hath kisi ke daman se
jab hosh mujhe aa jata hai mera hi gareban hota hai
har ek ko jaana paDta hai duniya ke musafir KHane se
kuchh rose iqamat hoti hai kuchh rose ka mehman hota hai
ai zahid-e-KHud-bin rahmat-e-haq aaghosh mein us ko le legi
jo apne gunahon par dil mein har-waqt pasheman hota hai
jo dekh rahe hain sahil se ye haal bhala wo kya jaanen
tufan se guzarne walon ko andaza-e-tufan hota hai
ye ishq-o-wafa ki baaten hain puchhe koi 'shankar' ke dil se
wo samne jab aa jate hain har sans ghazal-KHwan hota hai

Ghazal
Jab dil ki KHalish baDh jati hai majbur jab insan hota hai
Shankar Lal Shankar