jab dil hi nahin hai pahlu mein phir ishq ka sauda kaun kare
ab un se mohabbat kaun kare ab un ki tamanna kaun kare
ab hijr ke sadme sahne ko patthar ka kaleja kaun kare
in lambi lambi raaton ka mar mar ke sawera kaun kare
hum rasm-e-wafa ko mante hain aadab-e-mohabbat jaante hain
hum baat ki tah pahchante hain phir aap ko ruswa kaun kare
ai jazba-e-ulfat tu hi bata kuchh had bhi hai is nakaami ki
mayus nigahon se un ka mahfil mein nazara kaun kare
hum dekh chuke han dekh chuke dastur tumhaari mahfil ka
jab shukr pe ye pabandi hai phir jurat-e-shikwa kaun kare
Ghazal
Jab dil hi nahin hai pahlu mein phir ishq ka sauda kaun kare
Amjad Najmi