jab dard mohabbat ka mere pas nahin tha 
main kaun hun kya hun mujhe ehsas nahin tha 
TuTa mera har KHwab hua jab se juda wo 
itna to kabhi dil mera be-as nahin tha 
aaya jo mere pas mere honT bhigone 
wo ret ka dariya tha meri pyas nahin tha 
baiTha hun main tanhai ko sine se laga ke 
is haal mein jina to mujhe ras nahin tha 
kab jaan saka dard mera dekhne wala 
chehra mere haalat ka akkas nahin tha 
kyun zahr bana us ka tabassum mere haq mein 
ai 'naqsh' wo ek dost tha almas nahin tha
        Ghazal
Jab dard mohabbat ka mere pas nahin tha
Naqsh Layalpuri

