jab dard ki shamen jalti hain ehsas ke nazuk sine mein
ek husn sa shamil hota hai phir tanha tanha jine mein
kuchh lutf ki garmi ki KHatir kuchh jaan-e-wafa ke sadqe mein
gesu-e-alam ke sae mein rahat si mili hai pine mein
aaghosh-e-tamanna chhu aaen jab zulf-e-yar ki KHushbu mein
aankhon mein sawan lahraya dipak sa sulga sine mein
mausiqi-e-husn ki maujen thi kuchh aankhon mein kuchh pyalon mein
jo sahil-e-dil tak ho aaen yaadon ke ek safine mein
palkon mein sulagte taron se main raat ki afshan chun na saka
shoalon ko chhupae phirta hun main dil ke ek nagine mein
wo rang-e-haya ehsas-e-tarab aaina-e-ruKH ke aks-fagan
ek tabish tere chehre ki ek aanch si mere sine mein
kaliyon ne ghunghaT sarkae shabnam ne moti rol diye
lazzat si mili hai ashkon se ye chaak jigar ka sine mein
naghmon ki chandni chhiTki hai sheron ke shabistan mahke hain
phir saz-e-ghazal le aaya hun ek lutf hai aksar jine mein

Ghazal
Jab dard ki shaMein jalti hain ehsas ke nazuk sine mein
Qaisar Qalandar