jab dahr ke gham se aman na mili hum logon ne ishq ijad kiya
kabhi shahr-e-butan mein KHarab phire kabhi dasht-e-junun aabaad kiya
kabhi bastiyan ban kabhi koh-o-daman raha kitne dinon yahi ji ka chalan
jahan husn mila wahan baiTh rahe jahan pyar mila wahan sad kiya
shab-e-mah mein jab bhi ye dard uTha kabhi bait kahe likhi chand-nagar
kabhi koh se ja sar phoD mare kabhi qais ko ja ustad kiya
yahi ishq bil-aKHir rog bana ki hai chah ke sath ba-jog bana
jise banna tha aish wo sog bana baDa man ke nagar mein fasad kiya
ab qurbat-o-sohbat-e-yar kahan lab o aariz o zulf o kanar kahan
ab apna bhi 'mir' sa aalam hai Tuk dekh liya ji shad kiya

Ghazal
Jab dahr ke gham se aman na mili hum logon ne ishq ijad kiya
Ibn e Insha