jab chaudhwin ka chand nikalta dikhai de
wo gerua libas badalta dikhai de
dariya-e-zindagi ki nigahon ka hai qusur
Thahra dikhai de kabhi chalta dikhai de
paDne lage jo zor hawas ka to kya nigah
har zawiye se jism nikalta dikhai de
bahrupiye ke hath paDe hain so raat din
din raat rang-rup badalta dikhai de
rakkhe hai yun to panw sambhal-soch kar magar
nazron ka farsh hai ki phisalta dikhai de
us nam mein wo shola-gari hai jo lijiye
har room mein charagh sa chalta dikhai de
main 'ashk' shakl nam se waqif nahin magar
ek shaKHs hai jo sath hi chalta dikhai de
Ghazal
Jab chaudhwin ka chand nikalta dikhai de
Bimal Krishn Ashk