اردو हिंदी
Jab chale jaenge hum lauT ke sawan ki tarah | Shaahi Shayari
jab chale jaenge hum lauT ke sawan ki tarah

Ghazal

Jab chale jaenge hum lauT ke sawan ki tarah

Gopaldas Neeraj

;

jab chale jaenge hum lauT ke sawan ki tarah
yaad aaenge pratham pyar ke chumban ki tarah

zikr jis dam bhi chhiDa un ki gali mein mera
jaane sharmae wo kyun ganw ki dulhan ki tarah

mere ghar koi KHushi aati to kaise aati
umr-bhar sath raha dard mahajan ki tarah

koi kanghi na mili jis se sulajh pati wo
zindagi uljhi rahi bramha ke darshan ki tarah

dagh mujh mein hai ki tujhmen ye pata tab hoga
maut jab aaegi kapDe liye dhoban ki tarah

har kisi shaKHs ki qismat ka yahi hai qissa
aae raja ki tarah jae wo nirdhan ki tarah

jis mein insan ke dil ki na ho dhaDkan 'niraj'
shairi to hai wo aKHbar ke katran ki tarah