jab chandniyan ghar ki dahliz pe chalti hain
aaseb-zada ruhen saDkon pe Tahalti hain
dar-asl wo ninden hain aaghosh mein ashkon ki
palkon ki munDeron se har shab jo phisalti hain
masum umiden hain haalat ki gardish mein
ghar mein kisi muflis ke shahzadiyan palti hain
ai kash ki raushan hon fanus umidon ke
aankhon ke kaToron mein kuchh shamen pighalti hain
KHud se hi na ho jaun anjaan kisi din main
har roz tamannaen poshak badalti hain
masla gaya jis din se kaliyon ko yahan 'mina'
kuchh KHushbuen sahra se har raat nikalti hain
Ghazal
Jab chandniyan ghar ki dahliz pe chalti hain
Meena Naqvi