jab chaha KHud ko shad ya nashad kar liya
apne liye fareb sa ijad kar liya
kya sochna ki shauq ka anjam kya hua
jab iKHtiyar pesha-e-farhad kar liya
KHud se chhupa ke KHud ko zamane ke KHauf se
hum ne to apne aap ko barbaad kar liya
tha ishq ka hawala naya hum ne is liye
mazmun-e-dil ko phir se taba-zad kar liya
yun bhi panah-e-saya kaDi dhup mein mili
aankhen jhukain aur tujhe yaad kar liya
aaya naya shuur nai uljhanon ke sath
samjhe the hum ki zehn ko aazad kar liya
bas ki imam-e-asr ka farman tha yahi
munh hum ne su-e-qibla-e-azdad kar liya
Ghazal
Jab chaha KHud ko shad ya nashad kar liya
Aftab Iqbal Shamim