jab bhi tujhe dekha kisi bohran mein dekha
nisyan mein dekha kabhi hizyan mein dekha
gobhi bhi hai gar phul to bas itna bata de
collar mein kabhi ya kabhi gul-dan mein dekha
aisa na ho babban ko koi chil uchak le
nanga use dekha kabhi banyan mein dekha
biwi ne daba rakkha hai ab TeTua shayad
main ne jo use haal-e-pareshan mein dekha
kahte hain ki laila ka talluq tha arab se
ye rang to africa o makran mein dekha
ras ganne ka pine ko mila KHub hamein bhi
ye faeda dekha hai to yarqan mein dekha
pistol chhupa rakkha tha patlun mein main ne
custam ke sipahi ne jo saman mein dekha
wo chor tha ya aashiq-e-dil-gir kisi ka
diwar pe chaDhte jise dalan mein dekha
Ghazal
Jab bhi tujhe dekha kisi bohran mein dekha
Zia-ul-Haq Qasmi