jab bhi taqdir ka halka sa ishaara hoga
aasman par kahin mera bhi sitara hoga
dushmani nind se kar ke main bahut Darta hun
ab kahan par mere KHwabon ka guzara hoga
muntazir us ke hain hum kitne yugon se lekin
jaane kis daur mein wo chand hamara hoga
main ne aankhon ko chamakte hue dekha hai abhi
aaj phir in mein koi KHwab tumhaara hoga
dil parastar nahin apna pujari bhi nahin
dewta koi bhala kaise hamara hoga
Ghazal
Jab bhi taqdir ka halka sa ishaara hoga
Aalok Shrivastav