jab bhi taqdir ka halka sa ishaara hoga
aasman par kahin mera bhi sitara hoga
dushmani nind se kar ke hun pashemani mein
kis tarah ab mere KHwabon ka guzara hoga
muntazir jis ke liye hum hain kai sadiyon se
jaane kis daur mein wo shaKHs hamara hoga
main ne palkon ko chamakte hue dekha hai abhi
aaj aankhon mein koi KHwab tumhaara hoga
dil parastar nahin apna pujari bhi nahin
dewta koi bhala kaise hamara hoga
tez-rau apne qadam ho gae patthar kaise
kaun hai kis ne mujhe aise pukara hoga
Ghazal
Jab bhi taqdir ka halka sa ishaara hoga
Aalok Shrivastav