jab bhi salib par koi isa dikhai de
sari faza mein nur bikharta dikhai de
is chandni ki zad se bacha le koi mujhe
mera hi saya mujh ko Daraata dikhai de
poshida kaenat hai is sar-zamin mein
dekho ise jo dur se nuqta dikhai de
is shahr-e-dard-o-dagh mein kis kis ko DhunDiye
har shaKHs apne aap mein chhupta dikhai de
ai shams' muntazir hun main sahil pe sham se
baadal haTe to chand ka mukhDa dikhai de
Ghazal
Jab bhi salib par koi isa dikhai de
Shams Fareedi