jab bhi paDha hai sham ka chehra waraq waraq
paya hai aaftab ka matha araq araq
lahje mein DhunDhiye na halawat ki umr bhar
lamhon ka zahr hum ne piya hai ramaq ramaq
the qahqahe sarab samundar jo pi gae
kahne ko dil ke ghaw the raushan tabaq tabaq
qatil ka mil saka na bhare shahr mein suragh
har chand mera KHun tha phaila shafaq shafaq
jo shaKHs dhaDkanon mein raha muddaton asir
us ki talash le gai hum ko ufaq ufaq
Takra gaya tha bhiD mein KHushbu ka qafila
malbus sarsaraate badan the abaq abaq
'zahid' nai ghazal hai ki taqsim ka hisab
bandhe hain tum ne KHub qawafi adaq adaq
Ghazal
Jab bhi paDha hai sham ka chehra waraq waraq
Sabir Zahid