jab bhi mujh ko apna bachpan yaad aata hai
bachpan ke ek pyar ka bachpan yaad aata hai
dekh ke is munh-zor jawani ki munh-zori
mujh ko is ka totla bachpan yaad aata hai
aurat man thi bahan thi dadi thi nani thi
kore kaghaz jaisa bachpan yaad aata hai
tufani barish ghar mein sailab ka aalam
ThanDa chulha bhuka bachpan yaad aata hai
tanhai ka dukh to kam ho kisi bahane
dekhen kis ka kis ka bachpan yaad aata hai
shahd ke jaisi miThi boli yaad aati hai
dudh ke jaisa ujla bachpan yaad aata hai
bachpan ke yaron se milta rahta hun main
'qaisar' mujh ko sab ka bachpan yaad aata hai

Ghazal
Jab bhi mujhko apna bachpan yaad aata hai
Qaisar Siddiqi