jab bhi mere aansu bahte hain aur tera daman jalta hai
dekh ke apna husn-e-talluq har ahl-e-gulshan jalta hai
raaz na puchho mustaqbil ka sher-o-suKHan ki is mahfil ka
sahab-e-fan zulmat mein paDe hain dur charagh-e-fan jalta hai
fasl-e-bahaaran aa jaane se kam na hua gham ahl-e-chaman ka
shabnam ke aansu bahte hain gul ka pairahan jalta hai
jalne ko to sab jalte hain aag juda hai apni apni
hum jalte hain tum jalte ho ek ek ahl-e-chaman chalta hai
koi nahin gham-KHwar jahan mein 'yaad' hamari tanhai ka
apne hi aansu bahte hain apna hi daman jalta hai
Ghazal
Jab bhi mere aansu bahte hain aur tera daman jalta hai
Shahjahan Bano Yaad