اردو हिंदी
Jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyun hai | Shaahi Shayari
jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyun hai

Ghazal

Jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyun hai

Shahryar

;

jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyun hai
zindagi roz nae rang badalti kyun hai

dhup ke qahr ka Dar hai to dayar-e-shab se
sar-barahna koi parchhain nikalti kyun hai

mujh ko apna na kaha is ka gila tujh se nahin
is ka shikwa hai ki begana samajhti kyun hai

tujh se mil kar bhi na tanhai miTegi meri
dil mein rah rah ke yahi baat khaTakti kyun hai

mujh se kya puchh rahe ho meri wahshat ka sabab
bu-e-awara se puchho ki bhaTakti kyun hai