اردو हिंदी
Jab bhi mausam-e-hunar harf o bayan le jae | Shaahi Shayari
jab bhi mausam-e-hunar harf o bayan le jae

Ghazal

Jab bhi mausam-e-hunar harf o bayan le jae

Jaleel u0027Aaliu0027

;

jab bhi mausam-e-hunar harf o bayan le jae
yun lage jism se jaise koi jaan le jae

hum ki hain naqsh sar-e-reg-e-rawank kya jaane
kab koi mauj-e-hawa apna nishan le jae

ek aazadi ki zindani-e-KHwahish kar de
ek asiri ki karan-ta-ba-karan le jae

wahshat-e-shauq muqaddar thi so bachte kab tak
ab to ye sail-e-bala-KHez jahan le jae

ek parchhain ke pichhe hain azal se 'ali'
ye taaqub hamein kya jaane kahan le jae