jab bhi main raqs-kunan koi sitara dekhun
ek junun apni in aankhon mein dobara dekhun
jo na mumkin ho wahi KHwab dobara dekhun
yani phir pani pe main aks tumhaara dekhun
teri nazron mein mohabbat hai koi sauda magar
main mohabbat mein munafea na KHasara dekhun
jab nahin chalta mera bas mere apne dil par
kis qadar KHud ko kabhi KHud se hi haara dekhun
us ki rahmat ka karishma hai bharosa mera
main to tufan mein har samt kinara dekhun
dil ki KHwahish hai yahi 'jyoti' ki wahshat ho agar
is nazare ka faqat main hi nazara dekhun

Ghazal
Jab bhi main raqs-kunan koi sitara dekhun
Jyoti Azad Khatri